Ek nazm dard, sabr, aur roshni par

Kaun meri bardasht ka andaza lagaye, Jo guzri hai mujh par, woh kaun samajh paye? Main chup raha, par har khamoshi boli hai, Har zakhm ne apni ek kahani likhwayi hai. Sunna hai toh dil se meri baat ko sun, Yeh alfaaz nahin, meri rooh ka hai junoon. Jo keh na saka, woh bhi mehsoos hoga, Agar tu mere dard ke paas aa kar ruka. Waqt bhi aaya tha jab jeena saza tha, Har saans lena bhi ek bojh bana tha, Main phir bhi khada tha, toot kar bhi juda tha, Har raat ke baad ek savera juda tha. Na dekh mujhe sirf aaj ki roshni mein— Main andheron se guzra hoon, khud ki hi dhoop ban ke.
— Anup Manchanda
Leave a Reply